- Two heart
Mirror shadow : sabke paas do dil hote hai. Ek left ek right.
Me : chal na. Juth na bol.
Mirror shadow : left wala wo kahta hai jo hum karna chahte hai. Or right wala jo ye duniya hamse karana chahti hai.
Me : use dimag kahte hai.
Mirror shadow : use dil hi kahte hai. Right wala wrong hota hai or left wala right.
Me : right wala right hi to hoga. Left thodi hoga.
Mirror shadow : par right to nahi hota na meri nazar mai.
Me : to left wala right hai tumhari nazar mai. Par wrong hai duniya ki nazar mai.
Mirror shadow : par right wala to wrong hai na meri nazar mai or wrong wala jo ki wrong nahi hai meri nazar mai.
Me : tu chah kya raha hai kyu confuse kar raha hai. Sab kaat hi rahe hai mujhe bhi katne de.
Mirror shadow : tu wrong wala right nahi. Right wala wrong hai warna mai thodi dikhta tujhe.
Me : shhh…….–Aakinchan