Site icon Youth Ki Awaaz

GHORNA MANA HAI

  1. Roz ki tarah mai aaj bhi mummy ke kehne pe bread lene gyi, par fark itna tha ki aaj maine rasta aur gali dono badal di thi..

Achanak se kafi ladke mujhe ghoorne lage, mujhe samaj nhi aaya ki hua kya.. Phir maine apne aap ko check kiya ki kuch laga toh nhi…par kuch nhi tha. Phir samaj mein aaya ki nayi gali h aur mai bhi nayi ladki hi is gali mein..isiliye!!

Pehle socha ki chup chap aakhein neeche kar ke chali jau, kaun sa yaha roz roz aana hai yaha pe..par socha ki agar aaj kuch nhi kia toh kabhi kuch nhi kar paungi…
Toh phir maine us us ko dobara ghura jisne mujhe ghura aur tab tak ghura jab tak usne apni aakhein neeche nhi ki!!!

Exit mobile version