Site icon Youth Ki Awaaz

Kissa tha mera, kahaani nahi

Coming out of the pressure, letting go of what doesn’t serve you anymore, Sometimes you got to take a step back, because that’s only how you’ll move forward.

KISSA THA MERA, KAHAANI NAHI

Kal wo baat achanak yaad aai
Jo bachpan mein thi humko sikhaai
“Dekho mat peeche bass bade chalo,
Isme thehri tumhari bhalai”

Ab baat baat mein beeta bachpan
Aur baat baat mein beete hum
Iss baat baat ko le kar hum
Kar na paye wo kisse khatam

Arre! Kabse chale aa rahe hain..
Kaho toh thoda ruk jae?
Aur ab jo baithe hi hain
Likh aae hain hum jo kisse, unpe zara gaur farmaye

Aaj bhi wo din yaad ata hai
Jab ghar tumhare aai thi
Tumne apnaya do gaali aur uss maar se
Aur maine wo zindagi apnaai thi

Jo hume laga tha ant, thi tumhare liye shuruwaat
Maan liya tha humne, ye kissa nahi, kahaani hai meri, bass itni si thi baat.

Ek subah, roz jaisi uss din mere darwaaze par aai thi
Usne na jaane kya umeed mann mein jagaai thi
Paar kardi wo chokhat
Na socha na samjha na jana, shayad achha hi kia, warna maryada rok leti.

Uss pyaar mein tha wo saath nahi
Uss kaam mein thi wo baat nahi
Fir bhi chalte gaye hum bina ruke
Kiya ye kyu, wo yaad nahi

Dil ko ab dukhana kya
Paero ko yu hi chalana kya
Kaano pe jinhone laga liye parde
Unko awaaz lagana kya

Aaj bhi humse puchha jata hai
Kya kiye pe hume pachhtawa nahi
Hass deti hu unn samaaj ke kaidio par
Aur kehti hu, “wo kissa tha mera, kahaani nahi”

 

Exit mobile version