Site icon Youth Ki Awaaz

Naye Daur k saleqe

Puchna, bat karna , sawal karna chor do, Raja ki kartooton ko daghdar karna chor do

Muskura k saho ab to har sitam unka, zakhm pe ab aaah karna chor do

Galat ko Galat, Sahi ko Sahi, Qatil ko Qatil kehna chor do, Nizam kehta h ab tm insan hona chor do

Ghar Daftar aur Bheed me kat do ye zindagi, pasmanzar pe zada ab sochna tm chor do

Ana, izzat , haq mangna ye saare falsafey ab chor do, sauda karlo in sabka aur fiqr karna chor do

Bura mat dekho, mat suno mat sunao talqiyan, katputli ban jao unki , Zinda rehna rehna chor do

Befikri, bemani , chaploosi karna chor do, Dabi awaz me ab bas sugbugahat karna chor do

Mil kar k bat rakho, bebaki ka andaz rakho, munafiqat, nafrat, ghabrana ab chor do

Tmko ab kiska dar h? jo mar gae kya unka gham hai ? Hai dar to us dar ko choro, Hai gham to ab sath me bolo , Qatal aye qatal karne wale hm tmse lad k jeetenge tm ye tareeqa chor do!

Exit mobile version