Site icon Youth Ki Awaaz

Kho gya mai….

Bass….kho gya mai…..

Bachpan mein zid kiya krta tha bs ek do rupaye ki chocolate k liye…..aur kayi baar to maar bhi khaayi bss ek imtehaan mein fail hone k wajah se….
Iss chocolate aur exam ke meethe se jaal mein….fass gya mai….
Aur aakhir mere bachpn k saath kahi kho gya mai….

Jb thode bde huye….to maano ek samajh si aane lgi….ki ye thik nhi….ye glt ho rha hai….hum iske liye ky kr skte hai….ye badalna h mujhe…..lekin phir ek aawaz aayi….naa kisi anjaan shaqs se….balki apne hi apno se….ki tum akele nhi ho….kayi aur hai iss daud mein….to iss kayi aur logo ki race mein….mera wajood saabit krte krte…..
Ye bhi na pta chla ki sbse aage khade hu ya kisike peechhe….bss itna pta chla ki….. yr meri iss kishor awastha k saath….kahi kho gya mai…..

Ghr chhoda aur dusre sheher pdhne aaya…..kandhe pr bastaa liye aur pahiyo wali bag khichte…..train ki overnight journey krte aakhir apne dusre sheher pohoch gya mai…..lekin phir ye pta chla ki hum jaise to yha laakho hai….bss ab yha ek to sahi haatho k heere bn jaao ya ameer maa baap paida karaao….
To ab….mere uss pichhle gine chune 18 saal k safar mein….sapno aur chaahat rkhne wale lamho ko sametne mein joot gya mai….
Aur dheere dheere apni jawaani k dino k saath saath kahi kho gya mai…..

Kayi baate thi dil mein…..jo kbhi kisiko sunaane ka dil kiya…..aisa lga maano bss keh du….aur apne saare aasuon ki bauchhar kr du……pr phir mujhe smjh aaya….ki yha bolne wale to kayi hai….pr….sunne wala shaayad koi nhi…..to din mein job maa baap ko khush krne k liye aur raat mein ghumna…..bss dosto ko dikhaave k liye….
Aur iss kabhi na badalne wali daastaan ko badalne ki khwaaish rkhne wala mai….
Keh rha tha khudse….ki kahi kho gya mai….

Aakhir uth gya mai….aur keh daala….nahi….kisise nhi….pr uss aayne se….jo bachpn ke dino se hi mere saath tha….aakhir keh daala…aur maa baap ko bevakuf bnaate huye kahaa ki ghumne jaa rha hu….aur dosto ko iss jhut k saath milwaya ki workload ne le rkhi hai…..aur aakhir kaar…..jitni zindagi jeeni thi…..bss maano un do dino mein jee gya mai…..
Kyuki bhale hi kabhi zid chhod di ho pr ummid ko bnaaye rkhne mein safal hogya mai…..
Aur phir lga…..ye sab isi wajah se hua….kyu ki mujhe sahi samay….. sahi log….sahi kismat mili…….NAHI……balki maine uss sahi insaan ko pehchaana jo uss aayne mein mujhe nazar aaya….aur phir jo mai daud gya to zindagi ke aakhir iss race mein….jeet gya mai!

Exit mobile version