Site icon Youth Ki Awaaz

Mai aaj bhi ruka hoon

Ek sunsan si sadak ka ek aisa bus stop

Jispe ek anjan si bus k intezaar mai

Mai aaj bhi ruka hoon

 

Na koi khabar, Na koi pta

Kya kabhi yahan aai bhi thi

Ya fir hai lapataý

Is raaz ko jante hue bhi..

Mai aaj bhi ruka hoon….

 

Muje thodi hui kya deri,Muje chor age wo nikal gai

Par is raste se wapas to fir gujregi

Par agar wapas nahi bhi aai

To ek dusri bus ke intezaar mai

Mai aaj bhi ruka hoon

 

Na kisi horn ki awaaz…

Na he headlight ki chamak, Na hee engine ka shor hai

Is Sannatte se thoda ghabrata to zaroor hoon

Par uske intezaar mai aaj bhi ruka hoon

 

Pehli bus k nikal jane se thoda afsos to zaroor

Hai lekin wapas to usse muje lene ana hoga

Kyuki iss raste ka mai ek lauta musafir hoon

Bs issi umeed mai

Mai aaj bhi ruka hoon…mai aaj bhi ruka hoon

 

-Vishal Raj

Exit mobile version