Site icon Youth Ki Awaaz

Sad Hindi sayari, sad Hindi poem.

Is dil ne kya gunah kiya
Bas yehi ki bepanah pyar kiya ,
Hum to Nadan the dil ke mamle me
Humne to pahali Najar me hi un pe apna sab kuch waar diya .

?Suru ho gyi phir silsile chahat ki
Har lamha bas usko yaad kiya
Bechan ho jaya karta tha use dekhane ke liye,
Dil ne na kabhi itna kisi se pyar kiya
Phir kya tha
ek bar dikh jaye
dil ko karar aa jaye
Yehi sonch kar Jane kitne din uske ghar ke aage intezaar kiya

?Dhire dhire humari chahat un tak pahunch hi gyi
Usne bhi ek din Hans kar
Apni chahat ka izehaar kiya
Ankho hi ankho me kuchh bat kiya

Aisa laga jaise kisi ne khusiyon ki bauchhar ho mujhpe kiya
Jindagi kitni rangin hoti hai
Us din dil ne yeh mahsoos kiya
Ankhe khusi se bhar gyi
Jab usne hans ke
Flying kiss diya

?Hamari diwangi itni had tak bad gyi ki
uske har bat pe apna
Jaan nisar kiya
Uske Shiva nahi kisi aur ka parwah kiya
Dil kya cheaj thi
Humne apni har sans bhi uske nam kiya

?Phir lagne laga uske bina na subah hai na Sam hai
Nahi rat hai mera
To dil ne ek din usase yeh sawal kiya

Hamari tum zarurat ho
Chalo ek nayi duniya basate hai,
Is dil ne to har lamha bas tumhe hi hai pyar kiya
Tumhe hi hai pyar kiya.

?Usne bhi apni mazbooriya suna diya
Dil ki sare sapne tar tar kar diya

Unko to pyar kisi aur se tha
Hum to zaroorat mand yar the
Isliye sayad
Humahre chahat ko pagalpan ka nam De diya.

?Tab se waqt ne tanha bana diya
Khamosh ho kar jine lage
Bewafai ki aag me
Duniya ne hume Gunga samajh liya

Hum to diwane the humne to apne dil ki bat batayi
Par logo ne ise sayari ka nam de diya
Sayari sayari ka nam de diya.

Written by SK rai .

Exit mobile version