Site icon Youth Ki Awaaz

THE success…!

 

” the success”
Characters-
Papa. – vasant rao
2nd mummy – Asha rao
Son. – Rakesh
Sister. – Jyotshna
________________________________________
Situation-
(Rakesh aaj ek IAS officer bana he. Govt. Ki taraf se rakesh ka satkaar. Rakesh apne niji jeevan , kathinaiya, sangharsh aur safalata purvak kis tarah unki ek garib family se IAS tak ka safar kaisa raha vo sari baate is chhotese program me 450 logo k samane apna anubav share (vyakt krta he)…)

Start the story–
Rakesh telling his past
Bohot pahle ki baat hai, mere papa Vasant Rao Jo gaw k satyam cinema ghar ke samne logo ko Boot , chappal Polish or siya karte the ve mochi the.. Meri mummy Jo mere hone k ek saal bad ek buri bimari k vjh se swargvas ho gayi, meri 2nd mummy Asha Jo house wife thi. Meri badi bahen jyotshna. Hamara pariwar bohot hi garib vrg ka tha muskil se 2 vqt ki roti mila karti thi… Didi ne sirf 7th standard tak hi padhai ki thi.

Mera Bachpan to tik se yaad nhi lekin mein jab 6 sal ka hua tha mujhe ek gaw ke sarkari school me dakhil karvaya. School me tik se bachho pr dhyan nhi dete the. Mere data hua uniform . me bohot garib hone ke karan teachers bhi mujhe sabse last bench pr bitaya krte the. Or isi k karan mera koi dost banana nhi chahata tha.

Jaise taise me 7th standard tk padhai puri ki lekin ab papa nhi chahate the ki me aage ki padhai karu. Lekin me padhana chahata tha . mene papa ko uske bare me bohot samzaya fir ve nhi mane. Me niras ho gaya tha us samay lekin meri badi didi me mujhe sath diya vo mujhe padhana chahati thi. Aur mene bhi nirnay liya ki aage ki padhai jarur karunga. Lekin uske sath sath me kaam bhi krna chahta tha..

Mein mummy papa ko bataya bina kaam ki talash me nikal gaya, 3 din tk kaam dhundata raha lekin nhi mila fir mujhe ek safai ka kaam mil gaya ja papa logo ke jute chappal siya karte the uski samne satyam cinema ghar me mujhe kaam mil gaya. Fir roj subah ghar valo se zut bolkar cinema hall ki safai krne jata tha.. Or roj papa se zagda krk school 12 bje chala jata tha aur didi papa k gusse ko sambhala krti thi. Mujhe safai krne ke pure mahine ke 170 Rs mila karte the. Or aise hi kaam krte krte me 9th standard pass hua. Ab me 10th standard me chala gaya ab mein bada ho gaya tha to papa ke kaam me hath batana padhata tha. Logo ke jute chappal siya karta tha. Lekin meri padhai tik se nhi ho pa rahi thi. Aur isi ke karan school me Jana band kar diya. Raatko thoda samay mil jata tha to padhai kr leta tha. Ghar me light ka bhi problem tha. Diya jala kar padhai krni padati thi. Exam najdik aa jati he aur fir ky padhai tik n hone ke karan 2 vishay me fail ho gaya. Lekin fir bhi mene har nhi mani aur first exam di aur 67.76% se pass hua..

Ab me age ki padhai gaw ke bade school me krne ki ichha hui lekin paise n hone ke karan me bohot niras sa ho gaya aur padhai chhod kr kaam pe dhyan doo lekin meri badi didi ne meri sari baate papa ko batai aur papa mujhe madat krne ke liye tayari hue. Or papa ne mahanat krna suru kr diya mene bhi admission k bad usi satyam cinema hall me kaam dhundane gaya or mujhe ticket collect ka kaam mil gaya Jo ki shyam ka samay tha mujhe iske 1500 Rs prati mahina milte the. Papa bhi mehanat krte the or me bhi..

(Rakesh 12th pass kr leta he 69% se arts faculty se.., ghar vale bohot khus the)

Ab mene apne aage ke bhavishya aur career ke bare me socha ki kya karna chahiye aur iske liye mene ek dost ki help li jo hamesa meri madat krta tha (Rahul). Usne mujhe IAS officer ke bare me bataya.. Aur me graduation ke sath sath IAS ki tayari krne ki Socha ab mujhe Pune Jana tha ab mein ek hi sapna dekha krta tha aur vo Sirf IAS officer banne ka. Mujhe laga IAS banana bohot saral hoga lekin aisa kuch n tha…
Mein apna graduation complete Pune me jakar to nhi kr paya lekin gaw ke college me hi arts faculty se graduation complete kiya…

Ab IAS officer banane ka sapna. Pune me IAS ke classes lagane Jana tha lekin us samay mere pas paise nhi the utane… Fir bhi mene himmat n hara aur Pune me night ka kaam dhundane chala gaya or akhari me mujhe ek chhotese restaurant me as a Waiter krk night shift me kaam mil gaya. Salary 12000 Rs prati month. Classes bhi joint kiya lekin bich me hi didi ki shyadi tey ho gayi or mujhe ghar me paise bhejana padta tha. Aur isi ke karan mein classes ki puri fees nhi bhar paya aur bich me hi classes ko chhod kar nirash ho kar gaw lotkar ana pada.

Lekin mene kabhi har nhi Mani didi ki shyadi ho gayi thi fir mene 2 sal chhote note kaam krk IAS ke classes k liye paise ikatta kita .. Bus stop PR safai ka kaam kiya . aise chhote mote kaam krk 2 sal me paise jama kr liya. Ab me firse Pune chala gaya aur padhai puri krk vapas gaw lot aya..

Mene apne jeevan me IAS officer ke liye 3 bar exam di thi lekin 3 bar mein asafal raha. Fir ghar vale mujhe kosane lage , Jo man me ata mummy papa bol dete the me 3-3 din bhuka raha krta tha akele me roya krta tha.. Fir mene suicide karne ka faisala liya tha lekin ghar valo ke bare me soch kar mene aisa kuch galat kadam nhi uthaya. Aur first mene IAS ki tayari jamakar suru kr di 4th bar mein mummy papa ke ashirvad se pass ho gaya…. Or me aaj aap sable samne IAS officer bankar khada hu……mein apne jeevan se samadhan hu aur mere mummy papa bhi bohot khus he….

( is tarah rakesh k IAS officer banane ka safar tha…)
__________________________________________END___________________________________
Written by–
Dinesh Bokade
dbokade171@gmail.com
7517976295

Exit mobile version