Site icon Youth Ki Awaaz

ASIFA-Sawal Sirf Saza Ka Nahin

Insaaf ki guhaar lga rhe ho, achi bat hai. Acha hota, agr insaaf bina maange mila krta, khair ab utne bewakoof log b nh rhe k apko bina maange insaaf de… Wo kisi ne kha tha k bina maange to bheek nh milti, insaaf to door ki bat h…
Maan lete h kl mujrim ko sza ho b jaaye, kya bs ye sfr yhi tk tha, kya apki khushi isi ek mujrim ko sza dilane me h, kya aap nh chahte Asifa aakhri ho jiske sath ye jyaadti hui hai…  jis desh me maa duraga, parvati, lakshami, sherawali, bhagwan h, kya aap nh chahte k apke mohalle pdos ki parvati, durga, lakshmi bhi safe rhe, aur kbhi aesi jyaadti na ho unke sath…
Aaj ldke ldkiyan, budhe, jwaan sb insaaf maang rhe h, lakin kya hm ek lmhe k lye sochte hai k hm kya krte h hr roz, kya hm jhaankne ki koshish krte h apne girebaan me k hm ghr k bahr, kam krne ki jgh, mohalle pdos me, hr jgh jha hmare beech ldki ya aurat hoti h to hmaare khyal kya hote h. Mai kisi dusre k baare me khne ka huq nh rkhta lakin agr apni bhi baat kru to itna hi khunga k aaj hm jis bnde ko sza dilwana chahte h usne kaarnaame ko anjaaam dia hai aur agr hm apne vichar aur soch, khyal me jaaye to hm bs is kaarnaame ko anjaam dene se thoda hi peeche hai, kbhi khud se sawaal krk dekhiye k aap kitna safe feel krate h, apka behavior, apka nazariya, apki hrkten khi kisi ko preshn to nh krti, sawaal kijiye apne aap se k jo aap apne ghr me hote h, kya ghr k bahr bhi waise hote h? Sochiye aur puchiye apne aap se k aap hi k beech se ye log saamne aarhe h, aesa kya chl rha h unk dil o dimag me k unhe frq nh pdta k saamne ek choti bachchi h ya budhi aurat?

Exit mobile version