Site icon Youth Ki Awaaz

Beti Chupao

Hum ek aise desh me rehte hai,

Jaha kabhi kapdo ko blame kiya gya,

Kabhi khoobsurati ko,

Kabhi samay ko blame kiya gya,

Kabhi Rishte ko,

Hum kabhi nhi samajh paye ke hum insaan hai,

Humne toh khudko baatt kr rakha hai,

Jaat ke naam pr,

Status ke naam pr,

Akhir gunaah ky tha us Nirbhaya

Uss Zainab ka

Asifaa ka

Unn bachiyo ko ye bhi nhi pta tha unke sath kya ho raha hai,

Insaan Haiwaan bantey gaye,

Kuch logo ke karaan sab badnaam hotey gaye,

Humne bhi kabhi kisi ki suraksha ki kasam khai hogi

Hamari bhi maa beti behen bahu hogi,

Agar unke sath aisa hua toh.

Jaha hum ladkiyo ko Devi mante hai

Wahi un ladkiyo ka katl kiya gya.

Kya uss mandir me Asifa ne chillaya nhi hoga

Kya bhagwan ne sirf kitaabo me raksha kiya hai,

Kya uss bachi pr kisiko rehem nhi aaya,

Kuch sawal aab bhi sabke samne hai,

Hum usko bacha nhi paye,

Magar hum ye mumkin kr sakte hai kya

Ke aisa dubara naa ho

Fir naa koi Nirbhaya bane

Na koi Zainab bane

Na kisi ki maa behen ya beti ki izzat lutey,

Beti bachao

Beti Chupao

Beti ke papa ko bhi Bachao 

Exit mobile version