Namra jaise dil ko humne patthar bana diya
Is Sharir ki bhukhi duniya ko apna mukkar bana liya..
Jaha ghar ki bahu betiyo ke bhi shikar hone lage hai
Dil ke sare arman chaknachur hone lage hai
Phool si bachhi ka bachpan cheen kar Woh maje kar rahe hai
Ek shikshak,doctor banne wali ke sapne aaj mitti mein mil rahe hai..
Har saal dashara manakar rawan ko jalate ho
Sare pariwaar sahit ghumne ko jaate ho
Waha bhi sharm nahi ladki ko chedne per
Mata ke naam per ye kukarm kiye jate ho
Kab badlegi ye ghinoni soch samjh nhi aata
Karta ek dekhte 100 hai per madat ke liye koi nhi aata
Bachpan me sabne ek kahani to jarur suni hogi
Pachh lathi ek ho jaye to usey ekta kehte hai..
Aaj wo ekta shirf social networking app me group banana me dikhai jati hai
Per ladki ka rap ho jaye to samaj se naa Apnayi jati hai,
Janwar se battar hai woh log jo naari jati ka balatkar krte hai,
kharab karke hamari zindgi khud ghar per aram krte hai
Kab jagega samaj kab jagegi sarkar
Kab milega naari ko samman or kab ban hoge in jalimo ke gandi soch ke dwar…
#pooja_diwaker_
#original_post_wantjustice!