Site icon Youth Ki Awaaz

Mera Bharat Mahaa…Firqaparast!!

Firkaparasti(fanaticism) ka Yeh andha daur na jaane thehrega kahaan,
Dehshat ka yeh aalam na jaane sehmega kahaan..

Kis kis ko samjhaayein hum insaaniyat ka farz,
Ke insaan khud hi deta ho zakhm insaan ko jahaan..
Jo mazhabon mein hain range wohi failaaye hain vehshat yahaan…

Kya hua meri nasl ko jo nafrat mein beh gayi is kadar,
Ke dhoondhte hain qatil ka mazhab saza dene se pehle…
Kya hua mere desh ko jis mein behta khoon hai har dagar,
Ke poochte hain laash ka naam maatam manane se pehle..

Hindu karta h Ram ki Baat Muslim leta h Allah ka naam,
Arey janaab ek adad insaan to ban jaate pehle..

Ram naam ka jaal bichaya,
Tirange ki aad mein shaitaano ko h chupaaya…
Gau raksha ka naatak chalaya Bharat mata ki Jai ka swaang rachaya..
Watanparasti mein suna h haiwaaniyat ko bhi milaaya..

Kursi aur Siyaasat mein jo uljhe hain samajh unhe kab aayegi,
Ab bhi jo chup hain Poocho unse sharm tumhe kab aayegi??
Khauf karo is dehshatgardi ka yeh tumhe bhi le doob jaayegi!!!

#poetry 

Exit mobile version