Site icon Youth Ki Awaaz

RAAZI

mei aaj uss lakeer ki tarah feel karti hun…jo india aur pakistan ke beecho-beech kheech gayi….jiska ka koi solution nai ho…
dil raazi hai mohaabt ke liye lekin unhe kya bataaiye ….kitna…i made some friends…no matter what nationality….
phir bhi ye kanoon aur ye sarhadon ki bqandishe chain se jeene nahi deti…
rukk rukk ke chalti hun…
pathhoro mei insaan dekhti hun
insaano k qadar nahi hai…
par kutto se pyaar jatate logo ko bahut dekha hai..
ye azseeb hai itni saalo ye nafrat khatam nahi hui…
ab aage kab hogi…
muje pta nai
kahi gender ki ladai kahi desh ki…

inn sab se door mulk bi dekho toh saalon se bata hua hai.
patharo mei bhagwan dekhte hain log…
par hum toh nahi dekhte hain…
ye kab khatam hoga kisiko nahi pta..
kab nafrat ki deewaron girayi jaayengi
hindu kaun muslim kaun…muje sab insaan dikhayi dete hain…
pathhtaro se dosti nai kar sakti par dusre mulk se logo se zarur kar sakti hun.
koi kabi block kar de toh dard bhi bahut hota hai…
patchup ki koi gunjaish nai…
apne mulk mei hi pyaar dudho warna accha no hoga.
sochti hun saara freedom toh aapne le liya.
fir mere hisse mei kya.
70 saal ho gaye….
agar apna dil marzi hai laga ni sakte toh
kis baat ki azaadi
log darr jaate hain…
mei darr nai jaati par likhti hun…
likhna shauk nai aadat bhi hai…
rukk rukk kar dil ye lagaya …
aur ab toh jaan bhi hazir hai…
bas rukna nahi chalte hi jaana hai….

dil toh raazi hai.par kismat kab hogi…inn watan -watan ki nafrat kab khatam hogi.

Exit mobile version