Site icon Youth Ki Awaaz

#metoo ki Kaali raat

Gurez nahi ab kehne me
Zamane Gye jo sehne me
Wo Kaali raat
Man kachotne wali baat
Jo hua kabhi ,Wo thik nahi
Sirf main nahi koi aur bhi tha
Guzra Aisa Daur bhi tha
Thik nahi tha bilkul bhi
Meri Mansa nahi razamandi nahi
Main kamzor wo haavi hua
Sirf Kaya nahi Ruh me chuvan kiya
Main cheekh gayi thi,Tut gayi thi
Ghrina badan pe let gayi
Us raat haari har raat haari
ye baat kahu ki NAA kahin
Samaj ka darr parivaar ka bhay
Apne apmaan ka bhay
Har raat to aansu zaroor aaye
Aur Sukh Gaye se kone me
Arsa beeta hum bhi beete
Hum rote hue wo hanste hue
Ek subah hui himmat jaagi
Bhay MOH maaya Ko Mai tyaagi
Parinaam se kya Darna ye socha
Main bol gayi wo saari baat
Jo kalesh mere saath hua
Sab kehne lage Kyun saalo Baad
Samjhaun Sab aasan na tha
Kamzor thi main laachaar bhi thi
Khud hi khud se haari si bhi
Bahot saheja jab khud Ko
Tab jaake mujhko yakeen aaya
Us raat galat nahi aaj hai
Jo kaala sach ek Raaz hai
Tu dekh ghutan teri hi nahi
Koi aur bhi ho Sakta h kahi
Gussa bhi h afsos bhi h
Us raat NAA ladne ka
Kaali baat NAA karne ka
Wo udta Raha azaad panchi
Tu narak kund me jhulasti rahi
Jo hua kabhi wo thik na tha
Main bolu shayad Aankhen khul jaye
Aise awaara dar jaye
Zaamane NAA Lage kisi Ko kehne me
Gurez NAA kare koi ladne me
Ek baar savera phir aaye
Kaali raat ojhal kar jaaye
Raate bhi ho Jeevan me phir agar
Andheri nahi Tim Tim Tim Tim

Penned by Rishi

#inspired by #metoo

??

Exit mobile version