Site icon Youth Ki Awaaz

Ha mujhe bhi dar lagta hai

kuch waqt se insaano ne jazbaato ko samjhna chor diya gor kar rahe hai to sirf shabdo par….. ye kavita abhi nassruddin sahab k statement par likhi gayi hai kuch galti ho maaf karna or apna sujhav dena

Ha mujhe bhi dar lagta hai

Ha mjhe bhi dar lagta hai

Jab ghar se bahar nikli meri behen thodi late ho jaye achanak se phone uska out of reach ho jaye tab mujhe bhi dar lagta hai

Kyuki desh me chal rahe halat h yaha insaan nhi pal rahe jallad hai

Jo na to insaan dekhte h or na insaniyat

In haiwano ko dekh kar

Ha mjhe bhi dar lagta hai

Ha mujhe bhi dar lagta hai

Jb bhai jaan apne khane k liye kali panni me gost laa rahe ho to kuch dharm k thekedar sir par lagi topi or hath me kali panni dekh use gher na le use apni gandi mansikhta ka shikaar na bana le

In bhaddi mansikta walo ko dekh

Ha mjhe bhi dar lagta hai

Ha mujhe bhi dar lagta hai

K gao me kheti kar rahe mere dadu naanu bhi is satta k changul me phas na jaye or ek din wo khud he apni phaasi k phandey me kas na jaye

Us din ko aksar sochkar

Ha mujh bhi dar lagta hai

Ha mjhe bhi dar lagta hai

Jb train se nikle maa baap ho

Or raste me wo train palat jaye

Ek pal me sabki zindgi bikhar jaye

Us bikri zindgi ko dekh kar

Un tuttey pariwaro ko dekh kar

Un masoom begunah chehro ko dekh kar aksar,mjhe bhi dar lagta hai

Ha mujhe bhi dar lagta hai

Exit mobile version