Site icon Youth Ki Awaaz

Patrkarita

Aj is dour me loktantra ka choutha stanmbh kha Jane wala nam patrkarita (journalism) jo Kendra ya rajyo me virajman sarkao ko aina dikhane ka Kam krti h, or sarkar ki nitiyo ko ujagar karke janta ko uski jankari Dene ka Kam patrkar ka hota h balki uska Kam hi nhi uska dharam bhi h.

Lekin aj ka dour itne khatarnak mor pe a gya h jisme patrkarita ab chatukarita or chatukarita bikaou ho gyi h.

Aj ke patrkar such to bolte hi nhi Hain balki sarkar ki chaploosi krne me lag gye hain ab sarkar ko uske parvaktao ki zaroorat nhi h kyunki patrkar khud sarkar ke parvaktao ke roop me karya kar rhe hain.

Ab news channel, news paper sirf or sirf business bn ke rah gye hain. Ab har media sansthan me vigyapan ki hod lag gyi hai or sarkar ke samne apne apko uska chatukar dikhane ki bhi hod lgi Hui h kyunki tabhi unka sansthan chalta rhega or sarkar uska virodh krke use darayegi bhi nhi tabhi unki dukan chalti rhegi.

Ab news me news nhi h Baki sab h.

News channels me news ke nam pe faltu debait or debait ke nam pe ladai jhagda or marpeet hi dikhate Hain.

News ki jagah pe vigyapan, babon ke satsang, farji dawaiyon ke vigyapan dikhaye ja rhe Hain.

 

 

 

 

 

Exit mobile version