Site icon Youth Ki Awaaz

Akhbaro m aati kuch khooni khabre jo humse kuch bayan karti hai

Khoon se lathpath sadke,  roz akhbaro me aate khoon se sane  kuch khabre, 

Mjhse kuch kehna chahti hai, 

Ab to mjhe bhi un suni ansuni ghatnao  pe yakeen hone laga hai, 

Jo humse apna gunaah puch rahi hai, 

Or kya gunaah tha unka,  jo wo is nafrat ko bheed ka shikar  ban gaye, 

Jinhe bheed m aaye kuch logo ne maar diya,  or chod diya unke parivaro  ko unke bharose, 

Jo aaj bhi apni apni kabr me dafan apni jaati Or dharm par afsos kar rahe hai, 

Bheed m aaye log wohi the jo apne sar par secularism ka kafan bandh kar aaye the, 

To kuch naaro ka sahaara liye laasho ka dher lagaye ja rahe the, 

Nafrat ki aag me un sulagte logo ki cheekhe mjhe ab bhi sunai deti hai, 

Jo mjhse baar baar apne gunaaho ka hisab mang rahi hai, 

Kys jawab du mai unhe, 

Or kya kahu mai unse, 

Ki kya gunaah tha unka bas yahi ki wo gay ko god me na peda huye Or shree ram ke angan m na khele, 

Na jane kab ye nafrat ku jang khatam hogi, 

Ab to mjhe bhi un sunsan khooni sabko se dar lagne laga hai, 

Ki kahin ye bheed mjhe bhi apna hissa na bana le, 

Hath me mombatti liye log fir se apne gharo m chale jayenge, 

Pehlu Or tabrez ko log fir se bhul jayenge

Exit mobile version