Site icon Youth Ki Awaaz

Hame insan hi rahne do….

Din-rat ye shor kaisa? 

Kaha chhip gayi hai manavata?

Din rat Ram ya Allah kahne walo ne 

Kya jana hai Ram ya Allah ke dil ki awaaz…

Kya ladoge tum sab aur  vo khus honge?

Kya sikha Ram ya Allah se hmne-

Ek dusare samuday se nafarat?

Manav ka manav se nafarat?

Ek ka dusre par shoshan?

Vichar karana abi baki hai…

Kya ho gya hai manav ko?

Varsho se ladata aaya hai

Dekh dekh ke hazaro mahamari

Kya abi bhi samjh nahi aaya?

sachmuch char din ki hi kahani hai….

Ladawa rahe hai, 

Door karwa  rahe hai

Aur, 

Fursat ke dino me koi 

Apni manasiktna tum par thop raha hai.

Bas soch vichar karo,

Jo kisi ek ka nahi vo tumhra kaise ho sakta hai ?

Tum bas ek-jut ho jao …

Jaise azadi ki ladai me sath the

Tum nanhe-munno ko alag na karo

Premi-jodo ko alag na karo,

Mitra ko mitra se alag na karo

Iswr ke liye-

Meri Sana aur Archana ko alag na karo

Khelne do, jeene do

Khuda ke liye,

Jahar mat gholo….

Ghar -ghar me hindu- muslim na karwao

Hm sabse pahale insan hai….

Hame insan hi rahne do…

Ham sabse pahale insan hai……

Hame insan hi rahne do….

 

—Shweta Srivastava

 

 

 

 

Exit mobile version