Site icon Youth Ki Awaaz

A Letter To My Universe, My Mother

Representational image.

Hello Maa, Mama, Mummy, Mommy, Maiya: these have been the names I have always addressed you with, as per my choice and preferences.

Namaste bolna thora awkward ho jayega kyunki aaj tak kabhi kiya hi nahi aapko, jaisa kafi bacche karte hain apne parents ko phone pe ya phir mahino baad milne par. Yun to inn dino lockdown ki wajah se hum saath hain saalon baad lekin phir bhi aaj aapse puchna chahti hoon kaisi ho aap. kyunki sach batau to aaj tak kabhi akele mein baithkar poocha hi nahi.

Socha hi nahi iss bare mein ki mujhe puchna chahiye. Socha hi nahi ki maa ko bhi jarurat hoti hai uss dular ki, jo wo niswarth apne bacchon pe lutati rehti hai.

Waise to aate jate apko gale laga liya karti hoon, apko tang bhi bahut karti hoon lekin aaj tak kabhi kaha nahi ki uss akele flat mein apki yaad bahut aati hai. Jab bhi apni office colleague ko apne bacchon ke sath phone pe baat karte sunti hoon, meri aankhen nam ho jati hain. 

Maine kabhi chaha to nahi tha dur jana, par yehi duri hai jo hame aur karib le aati hai. Jo garma garam khana aajkal milta hai taiyar, lockdown ke baad bahut yaad aayega. Jab daakhil hougi uss khali ghar mein, aansu aankhon mein chalak jayega.

Itna likh liya fir bhi lekin teri hi rehmaton ka zikar hai sara, mujhe yaad nahi ki maine kabhi khayal rakha ho tumhara. Kash ki main aur samajhdar ho jaau, ek din main apni maa ke jaisi ban paaun.

Featured image for representation only.
Exit mobile version