Site icon Youth Ki Awaaz

Ek Jo Hue Hum…

A still from the Tanishq ad.

EK JO HUE HUM toh kya na kar jayenge, yeh hi toh humari asli pehchan hai na? School mein humesha se yeh hi history ke books mei padha hai ki “INDIA IS A COUNTRY OF UNITY IN DIVERSITY”. “UNITY IN DIVERSITY”, kya yeh sach ha?? Kya hum isse sirf kitabon mei hi padhenge ya fir jeevan mei bhi isse apnayeng? Kisi ne sahi hi kaha hai, “kitabi keeda na bane, gyaan kitabon se aur apni sanskriti se bhi liya jata hai…”

Home is a place not just to survive, we live our live in our homes, and India is home to thousands of regional languages and several religions. Aur bhi kitna kuch hai iss ghar mein!

Aaj maine ek advertisement dekha, bohot simple sa ad tha, mujhe pata nahi tha wo ad controversial ho jayega. Usme jo achchai hai, moral values sikhne ko mile hai uske against “LOVE-JIHAAD”,”ANTI-HINDU” aur bhi pata nhi kya kya tagline add ho gaye.

Image: @Happybeingharsh
/ Twitter

“BETIYON KO  KHUSH RAKHNE  KI RASM  TO HAR GHAR MEI HOTI HA NA” kya yeh soch galat hai? Kya humari grantho mein kahin bhi likha hai ki ek dusre samaj ki ladlki ya ladka ek dusre samaj ke ghar ka sadasya nhi ban sakta?

Kabirdas ji ne kaha tha, “Jaat na pucho sadhu ki, puch lijo gyaan”, insaan ka mol uske swabhav se hota hai, uski khubiyon se hota hai na ki uske “Hindu”,”Muslim”, ya “Sikh” hone se.

Ek bachche ko iss duniya mein ek maa ke saath saath wo doctor bhi lata hai jo pura prayas karta hai ki bachcha aur maa dono theek ho. Toh kya hum uss doctor se uski jaat, dharma puchte hai? Tabhi usse humare eelaj ka haq dete hai kya? DOCTOR ko hum bhagwan ka swaroop mante hai, toh kya wahi bhagwan se aise prashna karte hai, kya karte hai kabhi??

Yeh to phir bhi maan liya humne ki dusre dharma se problem ha isliye aise “anti-hindu” ki baat aa jati hai, par kya wo jab “Honor killing”, “Burnt cases aate hai” tab bhi hota hai? Jawab de sakte hai kya inn baaton ka? Aaj bhi humare desh mei kai aise gaon hai, kayi aise soch wale log hai jo inn baaton ko mante hai. LOGON SE SAMAJ BANTA HAi AUR AAGE BADHTA HAi, PAR HUMNE IS BAAT KO HI BADAL DIYA .

Hum 21st-century mein hai saal 2020 hai, Independence ko 73 years ho gye hai… Kahan reh gaye hai hum? Aaj bhi itne pichchde kyu hai hum? Technology mein hum puri mehnat kar rahe hai, khel mein humein gold, silver medals chahiye, par humara asli medal toh apni sanskriti hai, toh aur ache se aage badhana hai na? Kya hum aage badh rhe hai? Sochiyega apko iska jawab khud mil jayega…

INDIA IS A SOVERIGN,  SECULAR, DEMORATIC REPUBLIC. Yeh bhi padha tha maine class 8-9th mein aur tab mujhe sirf yaad karna tha, but ye shabdh mere dimag mein humesha rahe kyuki maine inhe samjha bhi tha.

SOVERIGN: INDEPENDENCE YA SWATANTRA

SECULAR: Everyone has the right to choose their religion, education irrespective of caste, creed, etc.

Toh partner kyu nhi choose kar sakte?  Dusre religion se hai toh kya? Dusre caste se hai toh kya?Pyaar dil se hota hai, caste ya religion se toh hum unhe apnate hai, kuch sikhte hai, kuch samjhate hai, kuch naya jeevan mei laate hai. Isse hum “ANTI- HINDU” kaise hue? Isse toh hum “DUAL-RELIGION” HUE NA? Humari aastha mandir mei bhi utni hai jitni masjid, gurudwara aur church mein hai. Jab ISHWAR ek hai, toh itna”ANTI -SOCH” kyun? Kyun bhul jaatehai hum humare purwaj ne bhi toh kitne alag-alag raniyon se vivah kiya tha unke bhi tor tarike alag the… Toh aaj,

“Ma, yeh rasam toh aapke ghar mein hote hi nahin hain na?” ISPAR ITNE SAWAL KYU ??????

Ek maa, ek saas, apni bahu, beti mein fark kare toh woh saas kaise hai woh bahu kaisi hai yeh prashna uthate hai hum…

Aur aaj jab wahi saas apni bahu ki god bharai karaye toh, haan haan South indian bahu, na na naaa wo hai South Indian Muslim bahu…itniiii controversy!

SOCHIYE HUM AAGE BADHE PAR YEH BAATON KO PICHE CHODHKAR INHE APNAKAR, SOCH BADALKAR. PYAAR BAATNE SE MILTE HAI AUR APNAPAN JATANE SE. DHARMA AUR PYAAR KA RISHTA SIRF DIL SE HAI, INSAANO NE ISSE ALAG ALAG NAAM SIRF SAHULIYAT KE LIYE DIYE HAI, NA KI BAATNE KE LIYE EK DUSRO KO.

HUM EID MEI SEWAIYAN BHI BANATE HAI, DURGA PUJA MEI PANDAL GHUMNE BHI JATE HAI AUR DIWALI MEI PATAKHE BHI JALATE HAI. Toh kuch alag hai kya hum mein? Nhi hai na? Toh soch badaliya janab, samaj aage badhega piche na laye isse.

KHUSHIYON KI DASTAK AAYEGA ,PYAAR KA SAUGAT LAYEGI, MILENGE HUM AUR TUM, KYONKI YEH BHARAT HAI, DILON MEI PYAAR HUMESHA JAG MAGAYE GI.

Exit mobile version